Saturday, July 23, 2011

Mujhse milne tum Jannat mein kaise aaogi Maa?


From http://luthfispace.blogspot.com/

Samahath Sama Sharif is a student in a Government Urdu Primary School in Bangalore. She is the daughter of renowned social activist Mr. Atharullah Shariff. She recently enacted the inner voice of a female foetus and moved many among the audience to tears.This Urdu poem is written by Dr. Hanif Shabab, Bhatkal, who is the president of Idara-e-Adab-e-Islami, Karnataka.

Following is the poem recited by Sama.

                       Line Cut Gayee
                       Hello, Maa
                  Assalamu Alaikum
Main Jannat se bol rahi hoon

Kaisi ho Maa?

Yahan Jannat mein phool khile hain
Manzar jagmagaa rahe hain
Doodh ki nadiyan baih rahi hain
Thandi hawayen chal rahi hain
Chidyaan naghme gaa rahi hain, saheliyan geet suna rahi hain
Allah ki Tareef ho rahi hai
Main jhoolon mein jhool rahi hoon
Pariyon ke sang khel rahi hoon

Main Jannat mein khush hoon Maa!

Lekin, lekin tum yaad aati ho
Hello, hello, Maa,
Bolo Abbu mere kaise hain?
Ghar pe saare kaise hain?
Bolo Maa
Dharti, Ambar, Chaand Sitare
Duniya kaisi lagti hai?
Sona, jagna, hansna, rona
Yeh sab kaisa lagta hai?
Bolo Maa!

Kya tum bhayya ki ankhon mein bhi
Kaanta, chhuri chubhoti ho?
Kya tum apne munne ka sar patthar se kuchlogi?
Kya tum apne jigar ko khud hi apne hathon kaatogi?
Nahin naa!

Phir mere saath hi tum ne aisa bartao kyun kiya?
Bolo Maa!

Apne naseeb ka khana to main khud laati
Auron ka hissa thodi khati
Jis Maalik ne tum ko diya tha, sab ko diya tha
Who mujh ko bhi de deta
Main duniya mein chand din rahti
To kaun si aafat tum par aati?
Abbu ke seene se lagti, saath mein bhayya ke bhi rahti
Munne ke sang hansti bolti
Tum se lori sunte sunte godi mein so jaati na Maa!

Lekin, lekin
Tum ne mujh se mera jeene ka haq chheen liya
Pait mein apne tum ne mujh ko
Bolo kaise qatal kiya?
Chaqu,  Chumta, Qainchi, Kaanta
Mere badan mein ghonp diya!
Mujh ko tum ne tukde tukde karwaya
Khoon mein mujh ko Nehlaya
Aur gutter mein phenkwaya!
Hoon! Hoon!

Pyari Maa! Acchhi Maa!
Yeh to bolo
Duniya jise kahte hain
Jis mein insaan baste hain
Wahan kutte billi ko bhi kya aisa karte dekha hai?

Hello Maa!
Main Jannat mein khush hoon
Lekin, lekin
Yaad tumhari aati hai!
Yeh batlao kya tum ko bhi meri yaad satati hai?
Tum ne kab mera koi naam rakha tha
Jo tum ko main yaad aati
Phir bhi Maa
Mujh se milne ek din tum bhi
Is Jannat mein aajana

Lekin, lekin, Maa!
Mera Maalik, mera Aaqa jab tum se yeh  Poochhegaa
Wo kya jurm thas jis ke badle mein tum ne mera qatl kiya?
Bolo Maa, kya bologi?
Khaliq Maalik Allah se?
Socho Maa, kuch to socho, jaldi socho

Warna, warna, mujhse milne tum Jannat mein kaise aaogi Maa?
Hello Maa, hello, hello Maa, hello… hello…
Maa… Maa…

1 comment:

  1. THE POEM THOUCHES THE HEART.........

    ReplyDelete